Monday, 13 February 2012

Sitaron Se Age Jahan By Allama Iqbal

| Monday, 13 February 2012 | 0 comments


Sitaron Se Age Jahan

allama iqbal poetry,Sitaron Se Age Jahan By Allama Iqbal, Sitaron Se Age Jahansitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain

tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain

kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain

agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain

isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain

gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain

0 comments:

:)) ;)) ;;) :D ;) :p :(( :) :( :X =(( :-o :-/ :-* :| 8-} :)] ~x( :-t b-( :-L x( =))

Post a Comment

 
© Copyright 2010. yourblogname.com . All rights reserved | yourblogname.com is proudly powered by Blogger.com | Template by o-om.com - zoomtemplate.com